Husband And Wife Funny Urdu Jokes
Biwi (Wife): Tum sotai howai mujhai galiyan dai rahai thai
Shohor (Husband): Tumko ghalat fahmi howi hai
Biwi (Wife): Kiya ghalat fahmi how hai?
Shohor (Husband): Yahi kai mai soo raha thaa
--------------------------------------------------------------------------------------
Ek sahab dosray sahab se: Bhai ye khushiyan kiya hoti hen?
Dosray sahab: Pata nahi bhai, meri to kum umar me hi shadi ho gaii thi.
----------------------------------------------------------------------------
Biwi (shohar se): Mai ghar chor kar ja rahi hun.
Husband (ghusse se): Jaan choro.
Biwi: Yeh aap ki Jaan kehne ki aadat bhi naa mujhe hamesha rok leti hai.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
Wife: Main bazar ja rahi hoon,
mujhe 50 Rupay ki zaroorrat hai!
Husband (ghusay se): Tumhen Rupay se ziada aqal ki zaroorat hai!
Wife: Aapse wohi cheez mangi hai, jo aap k pass mojood hai!
--------------------------------------------------------------------
wife aur Husband Mazaar se Nikle to (aik Faqeer ne kaha:Shehzadi 5 rupey de de, Andha hoon.
Husband: De do, Tumhe Shehzadi kaha hai to zaroor andha ho ga.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Husband wife dinner ke liye gaye, hotel mai 1 larki ne husband ko hello kaha.
Wife(ghusse se): Kon thi yeh?
Husband: Tum please mera dimagh kharab na karo, abhi us ko bhi batana hai
ke tum kon ho .
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
They say that when a man holds a woman's hand before marriage, it is love;
After marriage: It is self-defense
-------------------------------------------------------------------------
Wife nai new SIM khareedi aur socha kai husband ko surprise karongi
Wife kichen mai gai aur Husband ko call kari
Wife: Helo Darling....
Husband: Halki awaz mai jawab diya,
Tum baad mai call karna,
Abhi Kameeni kichen mai hai
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
How a woman calls her husband in first 6 years:
Yr 1. Janu
Yr 2. O G.
Yr 3. Aji, sunte ho?
Yr 4. Arey, O Bunty k pappa
And then...
Yr 7. Kahan mar gaye?
Yr 8. Tum aate ho k main aaon?
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Apni Shadi Mai Zyada Deer Mat Karna,
Dil Tumhari Saheeli Pai Aajai To Mat Kehna,
Main To Aashiq Hoon Khubsurti Ka Janu,
Yahi Baarat Tumhare Padoos Mai Aajai To Mat Kehna.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Thappar Maarnay par NaraZ Wife se Husband bola:
Aadmi usi ko maarta hai jis se Pyaar krta hai.
Wife ne Husband ko 2 thappar maaray aur Boli Aap kya samajhtay hain main Aapse Pyaar nahi kerti
---------------------------------------------------------------------------------------
Biwi Shohar Se: Ghar mai mahmaan
arahai hain aur ghar (Home) mai daal kai siwa kuch bhi nahi hai… Lehaza
jab mehmaan ajain to tum kitchen mai jakar aik bartan girana, jab mai
puchon to kahnai Qorma gir gaya..
Phir dusra burtan giradaina aur kahna Biryani gir gai..
To mai kahongi chalo Daal hi lai aoo..
Mehmano kai anai kai baad shohar kitchen
mai gaya aur bartan girnai ki awaz ai to biwi nai puchaa kiya howa to
shohar nai jawab diya
Begam Daal hi gir gai..
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------